Faizan e
Syedduna Umar Farooq رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہ Khalifa E Doum, Janasheen Paighambar, Wazeer-E
-Nabi E Ather, Syedna Umar رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہ Ki Kuniyat “Abu Hafs” Aur Laqab “Farooq Azam” Hai. Aik Riwayat Main Hai Aap رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہ 39 Mardon Ke Baad,
Khatim Ul Mursaleen,Rehmat ul Lil Alameen صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّمَ
Ki Dua Se Elaan Nabuwat Ke Chatay Saal Mein Imaan Laaye Aap رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہ Ke Islam Qubool
Karne Se Musalmanoon Ko Behad Khushi Hoi Aur In Ko Bahut Bara Sahara Mil Gaya
Yahan Tak Ke Huzoor Rehmat Aalam صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّمَ Ne Musalmanoon Ke Sath Mil Kar Haram E
Mohtaram Mein Elaniya Namaz Ada Farmai. Ap رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہ Islami Jangoo Mein Mujahidana Shaan Ke Sath
Kufar E Nahanjar Se Barsar E Paikaar Rahay Aur Sarwar E Kainat, Shehenshah E Mojoodaat صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّمَ
Ki Tamam Islami Ki Tamam Islami Tehreekat Aur Sulah O Jang Waghera Ki Tamam
Mansoobah Bandyoon Main Wazeer O Musheer Ki Hasiyat Se Wafadar Aur Rafeeq E Kar
Rahay. Mohsin Ummat,Khaleefa E Awal,Ameer Ul Momineen,
Hazrat Syedna Abu Bakar Siddiq رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہ Ne Apne Bad Hazrat Syedduna Farooq Azam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہ Ko Khalifa Muntakhib Farmaya, Aap رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہ Nai Takht O Khilafat Par Ronaq Afroz Reh Kar Janasheeni e Mustafa صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّمَ Ki Tamam
Tar Zimmay Daryon Ko Ba-Tareeq Ahsan Sar Anjaam Diya.
Namaz Fajr Main Aik Badbakht Abu Lu Lu Feroz Nami (Majoosi Yani Aag Poojnay
Walay ) Kafir Ne Aap رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہ Par Khanjar Se Waar Kya Aur Aap رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہ Zakhamo Ki Taab Nah Laatay Hue Teesray Din Sharf e Shahadat Se
Musharraf Hogaye. Bawaqt E Shahadat Umar Shareef 63 Baras Thi.Hazrat Syedduna
Sohaib رَضِیَ اللہُ
تَعَالٰی عَنْہ Ne Namaz e Janaza Parhai AurGohr e Nayaab, Faizan Nabuwat صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّمَ Se Faizyaab Khaleefa Risalat e Maab Hazrat Syedduna Umar Bin Khataab رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہ Rozah e Mubarikah Ke Andar Yakum Mehram 24 Hijri Itwaar Ke Din Hazrat Syedduna Siddiq E Akbar رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہ Ke Pehlo E Anwar Mein Madfoon Hue Jo Ke Sarkar E Anaam صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّمَ Ke Pehlo E Pak Mein Araam Farma Hain. (Al Riyaz Alnadara Fi Maqib Alashara J 1,Pg 285 ,408,418,Tareekh ul khulafa Pg 108 Waghera)
No comments:
Post a Comment